Friday, September 4, 2009
DUA - E - RAMZAN
Posted on 7:55 PM by nom
Bismiallah ar rahman nir raheem
Once Moosa (Alyahis Salam) asked Allah Subhaana'O'Ta'ala:  
Oh Allah! You have granted me the honor and privilege of talking to you directly, Have you given this privilege to any other person?  
Allah Ta'ala replied, Oh Moosa, during the last period I am going to send an Ummat, who will be the Ummat of Mohammed (Salal Lahu Alayhi Wasalam) with dry lips, parched tongues, emaciated body with eyes sunken deep into their sockets, with livers dry and stomachs suffering the pangs of hunger. 
When this Ummat will call out to me (in dua), they will be much much closer to me than you. Oh Moosa, while you speak to me there are 70,000 veils between  you and me but at the time of iftaar there will not be a single veil between me and the fasting Ummati of Mohammed (Salal Lahu Alayhi Wasalam). Oh Moosa, I have taken upon myself the responsibility that at the time of iftaar I will never refuse the dua of a fasting person! 
Please spread this Hadith as much as possible. 
Make most of this holy month and pray for forgiveness.
Please do remember me in your prayers. 
Read Durrod-e-shareef at the beginning and end of Dua: 
- Allahumma rabbana      ataiyna fidduniya hasnatoun wa fil aghiratoun hasnatoun waqina azabun naar,      waqina azabun khabar, waqina azabun hashr. 
- Aye Allah - Hamari      zaban par kalima-e-taiyyaba hamesha jaari rakh. 
- Aye Allah – Hamein      kamil imaan naseeb farma aur puri hidayath ata farma 
- Aye Allah – Hamein      pure ramazan ki naimatein aur barkath se maala maal farma 
- Aye Allah – Hum par      apni rahmath nazil farma, karm ki barish farma aur risk halaal ata farma 
- Aye Allah – Hamein      deen islam ke ehkaam per mukkammal taur par amaal karne ki taufeeq ata      farma 
- Aye Allah – Tu hamein      apna muhtaaj bana, kisi ghair ka muhtaaj na bana 
- Aye Allah – Hamein      Laailat-ul-qdar naseeb farma 
- Aye Allah -  Hamein haj-e-maqbool naseeb farma 
- Aye Allah – Hamein      jhoot, gheebath, burayi, Jhagde aur fasaad se door rakh 
- Aye Allah -  Humse tang-dasti, khouf, ghabrahat aur      kharz ke boojh ko door farma 
- Aye Allah – Hamare      sagheera aur kabeera gunnahon ko maaf farma 
- Aye Allah – Humko      dajjal ke fitne shaitaan aur nafs ke shar se mahfooz rakh 
- Aye Allah -  Auraton ko parde ki puri puri pabandi      karne ki taufeeq ata farma 
- Aye Allah -  Har choti baadi beemarion se hamein aur      har momineen aur mominaat ko mahfooz rakh 
- Aye Allah – Hamein      taqwa aur parhaisegaari ata farma 
- Aye Allah – Hamein      Huzoor (s.a.w) ke pyaare tariqe par khayam rakh 
- Aye Allah – Hamein      Huzoor (s.a.w) ke sunnat tariqon par chala 
- Aye Allah – Hamein      qayamat ke din Huzoor (s.a.w) ke haath se jam-e-kusar ko naseeb farma 
- Aye Allah – Hamein      qayamat ke din Huzoor-e-kareem (s.a.w) ki shafa’at naseeb farma 
- Aye Allah – Tu apni      mohabbat aur hamarein Aqaa (s.a.w) ki mohabbat hamare dilon mein daal de 
- Aye Allah – Hamein      maut ki sakhti se aur khabar ke azaab se bacha 
- Aye Allah – Munkar      nakeer ke sawalaat hum par asaan farma 
- Aye Allah -  Hamein khayamat ke roz apna deedar      naseeb farma 
- Aye Allah – Hamein      Jannat-ul-firdous mein jagah ata farma 
- Aye Allah – Hamein      khayamat ki garmi se aur jahanum ki aag se mahfooz rakh 
- Aye Allah -  Hamein aur tamaam momin aur mominaat ko      hashr ki ruswayion se bacha 
- Aye Allah -  Naam-e-amaal hamarein dayeene haath mein      naseeb farma 
- Aye Allah – Hamein      apne arsh ke saye mein jagah ata farma 
- Aye Allah – Hamein      dono jahan mein Rasool-e-pak (s.a.w) ka ghulam banake rakh 
- Aye Allah – Hamein      teri zaat par mukkammil imaan ata farma 
- Aye Allah – Hamare maa      baap ka saya hamesha hamare sar par khayam rakh 
- Aye Allah – Hamare maa      baap ko har beemari, har pareshani, har nafsiyaat, har takleef se mahfooz      rakh 
- Aye Allah – Hamare maa      baap ko naik saleha, parehsgaar, sacha aur pakka musalman bana 
- Aye Allah – Sare      momino per raham ata farma, Jo berozgar hai unhe rozi ata farma, Jo beemar      hai 
unhe shifa ata farma, Jo pareshan haal hai unki pareshani door ata farma 
- Aye Allah – Jo      musalman baheno ki shadi nahi howi unsab ka naik naseeba kar 
- Aye Allah – Jo      musalmaan bahene la aulaad hai unko naik saleh aur parehzgaar aulaad ata      farma 
- Aye Allah – Jo      musalman raahe raah se bhatak chuke hai unhe deen ki rah per chala 
- Aye Allah – Jo hamere      buzrukh wafaat paa chuke hai unhe khabar ke azaab se bacha, akhirat ke      azaab se bacha, jahannum ke aag se bacha 
- Aye Allah – Hamare maa      baap par us hi tarha raham farma jistarah unhone bachpan mein hum par      raham kiya 
Allahummakfini bihalalika an haramika wa aghnini bifadika amman 
(Whoever recites this dua, Allah (s.w.t) will assist him in repaying his debt even though it may be the size of Mount  Sabir 
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
 
 
9 Response to "DUA - E - RAMZAN"
assalaamou alaikoum , cam I have an mp3 for this Doah?
Thanks for reply
Alhamdulillah
Alhamdulillah Mashallah
Us it Urdu lyrics avaliavai
Mashallah
Allah sab momin aur mominaat ko jannat Ataa farmaye..Aameen Suma Aameen..
Alhemdullilah
Allha hum sab ke magfirat farma .Ameen
Allah hum sab ki magfirat drama..ammmen
Leave A Reply